2014, Pakistan

Dec 04, Urdu letters: “Searching beauty through Art and Literature– Sheikh Ayaz.”

Shaikh Ayaz was a twentieth century poet, born on 23rd March 1923 in Shikarpur, Sindh. He is considered one of the best poets in Pakistan, and his work has earned him respect from all over the literary world. Having complete hold over English, Urdu, Arabic, Persian and Hindi languages, his code of preference remained Sindhi, which gave him great fame in the province. He has also translated some of Shah Bithai’s poetry, and for him art and literature were ways of searching ‘beauty’. A very interesting article written by Nazeer Lughari in a local magazine published last Sunday talks about the poet’s personal life and includes scripts of his famous (and oh so poetic) Urdu letters and wise, soulful talks.

ShAyaz_raIn one of his letters, he writes about Sukkur; a city where he spent his early years. He begins it with a complaint about the hot and dry weather which the city is famous for, but soon we see him reminiscing old and better days which gives a nostalgic touch to his writing. He beautifully says:

ShAyaz_

“Aey rana, wapis lout aa, ab tou subah honay wali hay, teray baghair ye kaak mehal weerana hae.”

His letters show a glimpse of his own personality: poetry that runs in his veins like blood, a unique perception of life, and a wisdom that comes only with experience. While reading them today, I found myself in complete awe of the beauty they carry. Posted below are excerpts from my favorite letter, the complete of which can be found on next page:

  • Poora din zindagi ki tag-o-dau me guzaar kar aaya hun, ang ang toot raha hae. Maaloom nahi, poora din kon nigal gaya? Waqt, iss mahol me kisi azli diyo ki tarah lag raha hae. Abhi sham ne Neel-kanth ki tarah neelay neelay par phalaiye haen. Neel-kanth hamaray ilaqay ka mash’hoor parinda hae, aur is ke mutaa’liq riwayat ha eke wo hamesha kisi Paras ki talaash me rehta hae.
  • Mae jab bhi sham ko neel-kanth se tashbeeh deta hun, tou meray zehan me na sirf is ski tanhaai ka ehsaas hota hae, balkay is ki neelahatt bhi meray zehan me hoti hae, taham mae mehsoos karta hunk e meri har sham bhi kisi Paras ki talash me hoti hay. Kisi na-maloom narsa hasti ki justuju me, jo meri sanson ko mukammal sona bana sakay. Ye justuju mera mazhab hae.
  •  Wehmon aur tazabzub me uljha hua mazhab meray liye man-gharat aur khayalati kahaniyan haen. Firqabandiyan aur zahirdaariyan meray liye khud-faraibi aur khuda-faraibi se kam nahi. Khushk ikhlaqiat ki baat meray honton par aik shararat bhari muskurahat lati hae. Bahisht aur dozakh, gunaah, sawaab, haraam, halaal ki behas par mujhay hansi ati hae. Hansi jo muskurahat se namo pati hae, aur qehqahon me phalti pholti, sari kaainat par amarbail ki tarah phailti jati hae, aur kainaat aik kinaray se dusray kinaray tak gonjti rehti hae, meray qehqahay, zamaan aur makaan ki sarhadon tak ja pohanchtay haen aur meray azli sawaal aasmaan se bijlion ki tarah hanstay hoye poochtay haen. “Aey raaz-e-azal! Mae ne teri pur-asraar hasti ko rawaaN dawaaN mehssos kia hay. Mae ne tujhay kalyon ki khushbu me soongha hae, jang ki awaaz me suna hae, shafaq ke bheegay rangon me dekha hae. Maasoon haseenaoN ke rukhsaaron me dekha hae. Amrat mashroob ke har ghont me chak’ha hae. Aey raaz-e-azal! Tera ehsaas meray wujood ki haqeeqat hae. Aur tera wujood meray liye haqeeqat ka ehsaas hae. Ye meray ham zaat, ye insaan tujhay kiyun mehsoos nahi kartay? In ko kon behkata hae. In jhooti kahanion ke tanay banay kis ne bunay haen, jin me un ka zehan ulajh gaya hae? Ye na wafiq loug apnay irfan se waqif kara rahay haen. “Aey raaz-e-azal! Teri soorat hi husn aur haq ka maiyar hae.” Phir qehqahay, halkay aur phusphusay hojaty haen. Meray chehray par se muskurahat kam hojati hae aur mera sar jhuk jata hae, tapp tap kartay kartay aansoo meri ankhon se behnay lagtay haen, aur mae aik lamhay me sari insaan zaat ke liye sadyon ki ibadat karleta hun.
  • Meray is maslak ka koi autaaryaarshi nahee hae, iske mus’haf kitaab, pothiyan pastak nahi haen, ye faqat duzdida nazri do jhalkiyion par mabni hae.. Shayad tum samajh sako ke har duzdida nazar aur jhalak me kaainaat ka konsa raaz hae?

(Random post/ Urdu letters/ because December. Nazeer Lughari’s published article can be found online on the paper’s official site: http://magazine.jang.com.pk/detail_article.asp?id=25665)

Standard